Ek taza hikayat hai
Sun lo to inayat hai
Ek shakhs ko dekha tha
Taaron ki tarah humne
Ek shakhs ko chaha tha
Apno ki tarah humne
Ek shakhs ko samjha tha
Pholon ki tarah humne
Wo shakhs qyamat tha
Kia uski karen batain
Din us k lye paida
Or uski he thi ratain
Kam milta kisi se tha
Hum se thi mulaqatain
Rang uska shahabi tha
Zulfon mai thi mehkarain
Aankhian thik jadoo tha
Palkain thi k talvarain
Dushman bhi ager dekhain
So jaan se dil harain
Kuch tum se wo milta tha
Baton mai shabahat thi
Han tum sa he dikhta tha
Shokhi mai sharat mai
Lagta bhi tum he sa tha
Dastoor e mohabat mai
Wo shakhs humain ek din
Ghairon ki tarah bhoola
Taaron ki tarah dooba
Phoolon ki tarah toota
Phir hath na aya wo
Hum ne to bohat dhoonda
Tum kis lye chonkey ho
Kab ziker tumhara hai
Kab tum se taqaza hai
Kab tum se shikayat hai
Ek taza hikayat hai
Sun lo…………………..
To inayat hai……………
No comments:
Post a Comment