Sunday, 23 October 2011

Aap ki duniya hamare naam thi
Aap ke bin zindagi kis kaam ki

Aap ne hum se taalluq torr kar
Ghair se rasm-e-muhabbat aam ki

Umr bhar nisbet rahi jo aap se
Aik pal mein doosrey ke naam ki

Zindagi be-kaar ho ke reh gai
Saans chalti hai bara-e-naam ki

Khud se baigana banaya aap ne
Yaad hai Allah ki na ram ki

Ab to bus ik maut ki hai arzoo
Aish ki daulat ki na araam

Jaane kitne kar liye hum ne gunah
umr kaati moorad-e-ilzam ki

ab to chughtai sabhi kuch kho diya
muft mein hum ho gae badnaam bhi

No comments:

Post a Comment